Interviews

UPSC interview, Suman Sharma board, 7 Feb 2025

7 Feb 2025

Name - AD

Date - 07-02-2025

BOARD - SUMAN SHARMA MA'AM

CHHATTISGARH, BSc, HINDI LITERATURE, COOKING

Chairman

1)Microgreen kya hai

2) online food delivery se family par kya effect pda hai..specially mother par

3) restaurant Swiggy zomato par kyo case kiye the haal me hi

4) work from home ke possitive negative impact bataiye..kaun se sector me work from home jyada effective tarike se ho sakta hai

5) water Market par apki kya raay hai..govt ko isko support karna chahiye ya nhi

M1

1) Chhattisgarh ko dhan ka katora kyo kaha jata hai

2) new education policy ke bare me bataiye

3) tribhasha formula kya hai NEP me ?

kaun kaun si bhasha aati hai isme

4) goverment sab kuch hindi me krne ki taiyari me hi. jaise MBBS bhi hindi me ho rha hai apki kya raay hai?

5)swot analysis ke bare me jante hai? apna SWOT analysis kijiye

M2

1) chhattisgarh ke MP se alag hone ke kya karan the

2) kya apko lagta hai alag CG state banne se fayda hua hai

3) chhattisgarh me tourism ke kya scope hai aur kya challenges hai aur solution bataiye

4) chhattisgarh me womens ka kya status hai. Women empowerment ke liye kya kiya jana chahiye

M3

1) Chhattisgarh me khanij sansadhan me kya kya hai .. major & minor minerals bataiye

2) CG ki economy me iska kya yogdan hai

3) khanan se related company ka naam bataiye jo CG me hai ( i said NMDC and SECL)..Fir unhone pucha inke headquarters kaha kaha hai?

4) CG me tourism aur environment ko kaise balance kar sakte hai

5) aap filme dekhte hai?bataiye teesri kasam film ke bare me..( luckily mai is film ke bare me janta tha. raj Kapoor ji ki film thi 1966 ki.. member bahut khus ho gaye)

6) mahua ke bare me bataiye..aadiwasi ko kya benifit hua h isse(forest produce hai ye CG me)

7) tendupatta ke bare me batao ( ye bhi forest produce hai)

8) fanishwar nath renu ji ke bare me bataiye unki rachna ke naam

9)maithili sharan Gupt ji ki kya khasiyat hai

M4

1) entropy kya hai

2) campa fund ke bare me bataiye .iske kya fayde aur nuksan hai..kya govt ko ise aage continue karna chahiye?

3) golf se related kuch keywords puchne lage ( mai sochne laga ye kaha se bouncer aa gya achanak se)

4) rugby aur football me difference bataiye

5) marathon kya hota hai?

6) South india ke kaun se ruler ka rajya South east asia tak faila tha

7) land aquisition act ke bare me bataiye

Chairman ma'am

Bahut acha lga apse batchit karke..ab aap ja skte hai

Experience - very cordial environment during interview

Mock given - Samkalp, drishti ias, onlyias, unacademy, vajirao and Reddy, tathastu ias

//Mock se kuch question repeat hue aur confidence boost hua