Interviews

UPSC interview, Sujata Chaturvedi board, 25 Jan 2026

25 Jan 2026

Name: Ghalib

Date: 16/1/26 Afternoon last one to go

Key DAF Details: Padrauna, Kushinagar, IIT Roorkee, Sociology, Naib Tehsildar, Reading and Writing Hindi / Urdu poetry

Medium : English

Board: Sujata Chaturvedi mam

Chairman:

Mam read the DAF to every members highlighting keywords.

Q1 She asked me 3.5 saal se as Naib Tehsildar kaam kar rahe ho ? ( I nodded yes then mentioned ki 2 saal se leave par hoon )

Then mam said ki hindi me bol sakte ho language does not matter ....( uske baad se member 2 tak saare sawal hindi me hue )

2. lockdown me Tum Kaha the ( ghar par....Sant Kabir nagar )

3. Waha kya kar rahe the ( preparation)

4. Kis cheez ki ( upsc )

5. Acha ye batao lockdown laga to use manage karne ke liye hum logo ne kaun kaun se laws use kiye ( Epidemic prevention Act 1897, National disaster management Act, Essential commodities act )

5. Theek hai tumne 3 laws to bata diye ..... ab ye batao law and order ke liye kya kiya tha ( CrPC)

6. IPC ? ( sorry mam idk )

7. Ye batao mobile phone ke aane se kaun se gadgets vilupt ho rahe hai ( TV...remote...)

8. Aur batao ( Radio....clock )

9. Aur batao ( sorry mam....shayad mam camera sunna chah rahi thi )

10. Disaster me hum log kaisa kar rahe hai ( theek kar rahe hai .....cyclone jaisi apda kaafi had tak manage ho gayi hai eg. Super cyclone odisha)

11. Kewal cyclone hi aapada thode hai aur bhi aapada hain ( haan GLOF , cloudburst jaise aapada par abhi hum log unte sudhridh nahi hain )

12. Kaun kaun si authority hai disaster ko manage karne ke liye ( NDMA, SDMA, DDMA jiska chairman DM hota hai )

13. Forces bhi hoti hain ( NDRF, SDRF)

14. Kaise recruit hote hai ( Sorry mam Idk)

15. Bhagdad sune ho ( haan RCB event me hui thi )

16. Uske liye kya kuch naya rule aaya hai ( sorry mam mujhe nahi maloom hai )

Member 1

Q1. Aap Padrauna se aate hai. Padrauna kis cheez ke liye famous hai ( Bhagwan Buddha ki mahaparinirvansthali hai aur Agyey ka janmsthan hai )

2. Hum log Buddha par hi rukte hai ye bataiye Abhi Piprahwa stupa kyun news me tha ( Sir Abhi Sotheby’s auction hua tha usko rukwaya gaya tha )

3. Kya mila tha us stupa se

( waha se gems, stones aur bones Mile the jiska exposition hua tha)

4. Piprahwa kaha hai ( Shravasti)

5. Kushinagar me jo bhi relics mila usse ye samajh aaya ki Buddha ka mahaparinirvana wahi hua hai Piprahwa me jo bhi mila usse kya samajh aaya ( Kapilvastu shravasti me hi hai i.e Nepal me nahi balki India me hai .....wo yahi sunna chah rahe the )

6. Aap Urdu padhte hai ...ye bataiye ek bahut bada festival har saal Urdu ka manta hai kaha manta hai kaun organize karta hai ( Jashne rekhta sir...dilli me hi manta hai )

7. Rekhta ka matlab kya hota hai ( primary language urdu ki)

8. Kya aap ghalib ko padhte hai ( ji sir )

9. Ghalib ka ek sher hai - “Bazicha-e-atfal duniya mere aage” Isme Bazicha-e atfal ka kya matlab hai ( child’s playground...sir said yes)

Member 2

1. Deviance kya hota hai ( Merton ke hisaab se established social norms ke against jo bhi actions hota hai deviance hai )

2. Kisi aur sociologist ne kuch kaha hai ( yes sir Durkheim ke anusar thoda deviance samaj ke liye acha hota hai )

3. Kaise ( sir Sukrat ka act deviance tha lekin isse truth samajh aaya ....kya ek aur example se samjha sakta hoon )

4. Haan ( 1930 me Gandhiji ne namak toda wo us samay ke niyam ke khilaaf tha lekin hume isse azadi mili )

5. PIL ke baare me apki kya rai hai

( justice krishna iyer ne public interest litigation ki neev rakhi isme locus standi ka concept apply nahi hota hai )

6. PIL ka kuch nuksaan hai kya ( isse delay hota hai SC me khaskar tab jab case frivolous ho. Aise me ye Publicity interest litigation ban jata hai )

7. 3 PIL cases bataiye jisne society ko help kari ( Hussainara khatoon case, Bandhua mazdoor case, Ranjit sinh case)

8. Ranjit sinh cass se kya hua ( climate change adaptation and mitigation)