Interviews

UPSC interview, Lt Gen Raj Shukla board, 13 Jan 2026 (3)

13 Jan 2026

Name - स्थितप्रज्ञ

Board - Lt. Gen. Raj shukla sir

Date - 13 jan. 2026 (afternoon)

Key daf details - chhattisgarh , Hindi literature , cooperative federation

Chairman sir

1) kaha se hai aap AD?

2) bataiye chhattisgarh ko MP se alag karke sahi kiya ya galat? Maine bataya overall Chhattisgarh ko fayda hua , administrative efficiency badhi

3) aacha to aap chhote rajya banane ke himayati hai to kya hame Bundelkhand ko alag rajya banana chahiye

4) cooperative federalism aur competitive federalism par long monologue diya, fir china aur usa ki cities ki competitive federalism par bat ki aur mujhe pucha ki apko nhi lagta ki Lucknow aur raipur me bhi competition hona chahiye?

5) abujhmaad ke bare me bataiye.abhi kya status hai?

Member 1

1 ) chhattisgarh corruption ko lekar kafi news me raha. Kya karan hai chhattisgarh me corruption kyo itna jyada hai?

2) abhi hal hi me kuch bade corruption hue hai chhattisgarh me uske bare me bataiye

3) aadiwasi ke liye govt. Ki scheme batao

4) hindi ki mahila sahityakar ke naam batao

Member 2( lady)

1) aapke district me law and order ka status bataiye

2) women's ko police me shamil kiya jana chahiye ya nahi

3) apke ilaake ke mahila constable ko jante hai. Apke ilaake me mahila constable ka kya status hai

Member 3

1) 16 finance commission ke chairmen kaun hai

2) revenue distribution ko lekar North vs south state ke bich jo dispute hai us par lamba monologue diya fir pucha ki kya solution hona chahiye iska

3) finance commission kis parameters par revenue distribution karti hai

4) skill gap par long monologue diya aur pucha ki kya karan hai ham youth ko sahi tarike se skill nhi de paye kya kami thi hamari education model me.

Member 4

1) korba kyo famous hai..waha ke kaun kaun se ilaake me minerals paye jate hai

2) korba kyo ek failed city hai..waha urban planning kyo sahi tarah se nahi ho payi

3) aapke ilaake me kaun si mitti pai jati hai.

Maine kaha lal pili mitti.

4) Us mitti ki kya khasiyat hai ki usme dhaan jyada hoti hai?

5) raipur ko hi chhattisgarh ki rajdhani kyo banaya gaya. Bilaspur ya korba ko kyo nahi

Chairman Sir - thankyou apse baat karke accha laga..ab aap ja sakte hai

Experience - Board cordial to bilkul bhi nahi tha..mahol tight tha

mai jab jawab dena suru hi karta chairman sir ka counter argument aa jata tha..lekin overall maza aaya

Mock interview - samkalp, vision ias, unacademy, pw onlyias, Chanakya mandal