Interviews

UPSC interview, Sujata Chaturvedi board, 14 Jan 2026 (Bihar)

14 Jan 2026

Board- Sujata Chaturvedi Ma’am

Date- 14th January

Slot- afternoon, 5th

DAF keywords- Bihar, petroleum refinery engineering, Madhubani, Maithili literature

⸻

Chairperson (Ma’am)

Ma’am ne DAF ke keywords ko padhkar sabko bataya

1. Graduation aapka 21 me complete hua. Aapne job nahi kiya? (maine mention kiya ki ye mera 3rd interview hai)

2. Last ke 2 interview ka experience kaisa raha

3. Aapne kaun se topics taiyar kiye hain (Bihar and petroleum sector aur bhi)

4. Aaj ki newspaper aapne padhi hai

5. Sab log suit pahan kar aate hain. Aapne bandhgala kyun pahna? (answer kuch aisa tha ki ma’am aur sabhi members hasne lage)

6. Ethnic wear pahanne ke kya benefits hain? (3 points bataye)

7. Aapne Prada and Kolhapuri mamla suna hai? Explain kijiye (pata tha, explain kiya)

8. 26 January ko is baar kaun guest bankar aa raha hai? (EU wale)

9. 26 January and 15 August ko flag kaun hoist karta hai? (PM and President)

10. Dono flag hoisting me ek basic difference hai. Aapko pata hai? (sorry bola)

11. Aap North Bihar se aate ho. Kaun si rivers flood ka karan banti hain?

12. Kya Ganga ke karan bhi Bihar me flood aati hai?

13. Flood ki samasya ka kya samadhan ho sakta hai?

14. Dam banane ke to sab jagah virodh ho raha hai. Phir kaise dam banayenge

15. Rivers ke kinare forest kaise lagayenge? Zameen to private hai.

⸻

Member 1

1. Darbhanga Maharaj ki wife ka nidhan hua hai. Aapko pata hai?

2. Kya naam tha unka?

3. Kya contribution tha unka?

4. Waise to raje-maharaje politics me kaafi active hote hain, lekin Darbhanga Raj ke parivar me koi active nahi hai. Kyun?

⸻

Member 2

1. NIMHANS ke anusar 10–15% youth mental health ki samasya se affected hain. Kya reason hai iska

2. Kya drugs ek karan hain?

3. Kya karan drugs ke badhte use ka?

4. Kya kiya ja sakta hai iske liye?

5. Australia social media ban

6. Ek question bhool raha hoon jisme mujhe political, economical, cultural and societal impact batana tha.

⸻

Member 3 (ye questions ko zyada hi explain kar rahe the)

1. ADR ke anusar, 47% parliamentarians and ministers par serious cases chal rahe hain. Kya karan hai. Is par unhone kuch aur questions puche, jisme political–criminal nexus ki baat thi.

2. 130th Constitutional Amendment ke bare me pata hai?

3. Non-conventional energy ko badhane ke liye government ke prayas.

⸻

Member 4 (rapid fire round type)

1. Maithili ek language hai ya dialect?

2. Language and dialect me kya difference hai?

3. Kab dialect language ban jati hai?

4. Kya abhi Maithili me koi newspaper publish ho rahi hai?

5. Bihar kyun underdeveloped reh gaya?

6. Bihar ki prohibition policy ka kya impact hai?

7. Hooch tragedy

8. Kya sabhi states me prohibition lagu kar dena chahiye

9. Gujarat ki prohibition policy ka history

10. 2–3 questions 4th member ke bhool raha hoon.

⸻

Ma’am ne kaha, thank you. Aapka interview samapt hua.

Maine sabhi ko namaste kiya aur wapas jaane laga.

Ma’am ne mujhe toka aur kaha ki mere chair ke pichhe jo painting lagi hai, uske bare me kuch bata sakte ho? (ye ek Madhubani painting thi jiske bare me maine bataya ki isme Maa Sita aur Bhagwan Ram ki shaadi ka drishya hai.)

Ma’am ne kaha bahut badhiya.

Maine phir se ma’am ka dhanyavaad kiya.

⸻

Mera experience

1. Ma’am ki poori koshish rehti hai ki sahaj roop se baatcheet ho.

2. Sabhi members time ka strict palan kar rahe the.

3. Point-wise answer zyada sahi laga. Kai baar wo points count kar rahe the (jaise aapne 3 points bataye, next point bataiye).

Mock – Samkalp (real interview ke sabse kareeb), Vajirao and Reddy, Next IAS, Unacademy, Shubham Sir (Vidyapeeth IAS), Forum IAS.

PT marks - 208

Hindi medium