Interviews

UPSC interview, Anuradha Prasad board, 14 Jan 2026

14 Jan 2026

Name:- Lui-16

Board:- Anuradha prasad

Session:- forenoon

Date:- 14th January

Keywords:- history Nota and Road Safety (achievement debate and speech me tha ye isliye pucha )

Chairman mam

Aaiye aap comfortable ho jaiye

Aapne ancient history padhi hai to btaiye

1.zero kis period me aaya

2.kisne diya

3. To 1,2,3,4,5 kb aaye hai

4. Aur inko arabic numbers kyu khte hai aur arab ka gyan itna famous kyu hai (maine arab incyclopedia btaya aur ye bhi ki india aage apne ancient knowledge ko continue nhi kr paya kuchh reason btaye

5. She said ki history repeates itself to maine btaye aur sath me ye bhi ki agar repeat hua to iska matlb ki hmne seekha nhi

6.to btaiye abhi kya seekhe hm yha se industrial revolution aur ai maine link kiya

7. Ai me india ko kya krna chahiye

8.abhi innovation me kya kya kr rhe hai hm maine mission btaye kuchh

First member -

1.allahabad university abhi kyu utne civil servants yha se nhi aa rhe h kuchh reason btaye

2.aap bahut young hai to ye btaiye ki kaun s experience

Jruri hai age ka aur exposure ka

3.ye btaiye kisko select krenge civil service me jisko trained kr skte hai ya jo phle se matured hai

4.foreign policy me ek sbse bdi challenge maine neighbourhood bola to bole koi aur maine multialignmet ko lekar bola

5.india agr world ko lead krega to kya kya kaise krega maine isko explain krte hue ek point climate bola tha usme bhi aage pucha climate ko lekar

Third member

1.road safety ko lekar kya krenge aap agr delhi me as a civil servant

2. Indo pacific pr usa china mam dash line asean countries name aur sea kaun kaun se hai

3.hybrid war fare kya hai

Fourth member

1.nota discussion hua 5 min kb aaya kya change aaya kaise aur improve krenge voting awareness ko lekar

2.history me mahajanpad 16 abhi ke kis kis state me hai ungali pr nam gine sbke phir south me kyu nhi hai ye keral tamilnadu me to maine bola udhar rajya develop nhi hai mahapasha kal hai

2. Sangam vansh ke bad se lekar early medival tk south ka vansh kram pucha

3. South aaj north se aage hai to iska historical reason hai kya aap is bar agree krte hai maine slightly agree Kiya ki han south me chola local governance vijayanagar Babar atmkatha ki bate btayi aur ye bhi bola ki nhi north me bhi acha tha history me ache se suna pura answer

Fifth member

Q1 Pm gatishakti project kb aaya kya hai

Q2 Logistic cost kitni hai abhi

Q3 Logistic kya hai

Q4 History ko janne ke liye kaun si do language aap padhna chahenge

Q5 Iske bad central Asia ka historical background pucha

Anuradha mam -apse bat krke acha lga best of luck

Overall-- maine to Mock 15 diye the but phli bar koi bina beech me intreput kiye itne dhyaan se sun rhe the wo discussion me shamil ho rhe the puri bate sun rhe the

Mock sare time pass type hai (maine keval drishti neelesh sir ke suggestion mane hai )

Peer group discussion ka bahut imp role hai