Interviews

UPSC interview, Manoj Soni board, 21 Feb 2023

21 Feb 2023

Name Shantanu kumar Meena

Date 21/02/2023

Branch ECE 2018 passout NIT Jalandhar

Working Railway junior Engineer NWR

Board Manoj soni sir

Hobby music and football

Jate hi mene sir ko hath jodkar namste kiya. Phir sir ne bhi hath jodkar namskar kiya kyoki ve khood niskam karmyogi hai

Chairman

1.aapka name shantanu hai aur gaav ka name badiyawala hai.sir ne pronounce galt kiya jisko mene bolkar sahi karvaya

Sir ne gaav ki population ke bare me pucha.uske baad ye pucha ki aap pahle ladke ho apne gaav ke jo upsc bhavan aaye ho.mene kaha ki ji sir. Gaav and panchayat dono me pahla hu.sir ne great and praise kiya

2.sir ne favorite song pucha mene bataya and lyrics puche me thoda bhul gaya pressure me then sir ne khood hi bolkar isko pura kiya.mene thank you bola.

3.mahabarat se pucha kyoki mera naam shantanu tha.mahabharat me andar jakar thoda grill kiya sir ne

Member 1

1.FDI

2.sickle cell anemia

3.shree Ann ke bare me millet and pucha ki aapke gaav me konse millet hote hai

4.climate change ka jaipur par effect

5.aap DM bankar apne gaav ki school me jaoge toh 5 things jo baccho ko padaoge

Member2

1.Football ke bare me.wc 2022 kisne jata kiske khiladi

2.hattric final me kisne Mari

3.final me pahli hatric thi ya isse pahle bhi kisne Mari thi

4.pele ke bare me

5.bharat ki rankings fifa me

6.india me football develop kyo nahi hai

7.kya sports institute ko autonomous banaya jaye

Member 3

1.Hindi literature hai aapka toh novel padte hai.

2.filhall konsa pada

3.railway me kaam karte ho .Railway me safery ko lekar kya chal raha hai

4.stunt karte ho. Daf se related tha

Member 4

1.Mahabharat me dropdi ke chir haran ko russia ukraine war se jodkar pucha kyoki shantanu name tha isliye

2. International ethics ke bare me

3.kuch leaders ke bare me jo russia ukraine war ko lekar jimmedar hai

Dubara manoj soni sir mahabhart par questions karte hai me sir ki baat se agree hota hu.sir has jate hai ki aap har baat se sahmat ho.sabhi haste hai.me hath jodkar and thanks bolkar nijlata hu.

Manoj soni sir ko lekar kafi daraya. But sir ne meri kafi help ki jaha par bhi me atka.aage dekho kya hota hai

Overall I am happy ki upsc chairman ne mera interview liya hai😄