UPSC interview, M. Sathiyavathy board, 27 Apr 2022 (History)
27 Apr 2022
Name - M.D
Board -Ms. M. Sathiyavathy
Date - 27 April morning session
From - barmer ( Rajasthan )
Optional - history
TIME- 26_28 mint
Education -Bsc + MA (history )
( Mask, gloves phn kar interview tha, face shield htwa di thi )
Chairman mam
1. Jrf aap ne clear kiya hain PhD/ MPhil kar rhe ho ya ?
2. UG or PG me aapne gap kyon liya tha
3. 2018 k bad se kya kar rhe ho ?
4.aapki camel riding hobby hain
Ye kese aapki hobby ho gyi hain ?
5. Aapne horse riding ki hain ?
6. Camel riding or horse riding me kya main deference hain ?
7. Camel k aaj kal kya utilities hain ?
8. Camel milk me kya kya hota hain ?
9. Camel mill k medicine benifit kya hain
( Second mamber ki or ishara krte hue , qsn kijiye )
*M-1*
1 aap barmer se hain Barmer me refinery ki kya progress chal rhi hain ?
2. Barmer refinery k kya fayde hain ?
3. Es refinery me barmer k alawa bahri crude oil use hoga? Kha se aayega?
4. Rajasthan biofuels ki progress hain ?
5. Biofuels k khan Khan centre hain
6. Renewable energy of Rajasthan k bare m batahiye ?
M-2
Qsn asked in English and qsn very long ( chairman mam , qsn nhi smjh me aa rha hain to anuvadak bualaun ? Yh UPSC ne aapke liye hi rakhe hain ? Bell bjakr , anuvadak ko bula kar bitha diya )
1. Corona me Indian doctor ne , medicine bevjah likh di thi ?kya aap mante hain
2. USA me medical me countie exam hote hain or India me doctor ki koi progress chek nhi hoti ? India ko kya krna chahiye ?
3. China me corona se konse City effected hain ?
4. China ki zero COVID policy kya hain ? Uske point batahiye ?
5. Quad Kya hain ?
6. Quad k reform k 3 point btahiye ?
7. Jammu ,Kashmir , laddakh 3no ko state banane chahiye ? Some cross qsn
M-3 (women)
1. Aapke district me only one river hain - Luni ? But irrigation me use nhi hoti ! Why?
2. Barmer me desert hi desert hain
Eska development kese ho skta hain ? Some cross qsn
3. Camel riding aapki hobby hain ! BSF kis border par use krti hain ?
4. Barmer - Pakistan border ki challenge kya hain ?
5. Barmer border me very less taskri hoti hain ? Punjab me bhaut jyada ! Esa kyoun hota hain ?
M-4( only women releted qsn and corss qsn )
1. Rajasthan ki women ki kya condition hain ?
2. MMR kya hoti hain ?
3. MMR full form?
4. Women status Rajasthan me low level par kyun hain ?
5. Ese improve krne k 3 upay bataiye ?
6. Aapko lgta hain women marrige age , 21 kar deni chahiye ?
7. Child marriage case esase or badh jayenge ?
8. To kya 21 se aage bhi badha skte hain ?
9. Thik hain ,Women empowerment ki 2 scheme bta dijiye
Chairman mam
( Aapka interview ho gya hain , aap aarm se ja skte hain , face shield bahr lga dijiye )
Experience:-
Mock helpful hain,specially DAF k prepration me
Fact and New information khin bar hamre knowledge se bahr se aa skti hain, Esme confidence k sath sorry bol skte hain
All the best 👍